Waqt Shayari

 Waqt Shayari in Urdu


Aaj Waqt Nahi Hai 

Unke Paas Hamare Liye

Pehle Waqt Hi Waqt Tha

Waqt Waqt Ki Baat Hai..!!

 

Wo Tha To Kahin Waqt Thehrta Hi Na Tha…!

Ab Waqt Guzrny Mein Bohat Waqt Lagta He…

 

Na Wo Din Rahe Na Wo Mehfilain,

Na wo Jaan Se Azeez Log,

Waqt Cheen K Legya Mujh Se

Mere Apne Kahan Kahan…

 

 

Waqt Kehta Hai Phir Na Aaonga

Teri Aankhon Ko Ab Na Rulaonga

Jeena Hai To Is Pal Ko Jee Lay

Shaydd Main Kal Tak Na Ji Paonga

 

Tumhein Bhoolne Main Hamein Kuch Waqt Lage Ga

Aur Wohi Kuch Waqt Hamari Zindagi Hai Janaa..!

 

 

 

 

 

Likhoon Kuch Aaj Yeh Waqt Ka Takaza Hai

Dil Main Dard Abhi Taza Taza Hai

Gir Parte Hain Aansu Mere Kagaz Par

Lagta Hai Kalam Mein Siyahi Kam Or Dard Zyada Hai

 

Waqt Kehta Hai Mujhe Gawana Mat

Dil Kehta Hai Mujhe Lagana Mat

Dost Kehta Hai Mujhe Azamana Mat

Or Hum Kehta Hai Hame Bhulana Mat

 

 

 

 

Waqt Se Waqt Ki Kya Shikayat

Ab Waqt Hi Na Raha,Waqt Ki Baat Hai,

Usne Dekha Mujhe,Usne Chaha Mujhe,

Usne Thukra Diya Mujhe,Waqt ki bat hai

 

Waqt Ki Aandhi Main Tufan Badal Jatay Hain

Zindagi Ki Rahoon Main Insaan Badal Jatay Hain Badalta Nahin Pyaar Kabhi

Pyaar Karnay Walay Insaan Badal Jatay Hain

 

 

 

 

Waqt Ki Aanch Me Patthar Bhi Pighal Jaate Hain

Khushi Ke Lamhe Gum Me Badal Jaate Hain

Kaun Karta Hai Yaad Kisi Ko Yaara

Waqt Ke Saath Khayalaat Bhi Badal Jaate Hain

 

Rasm E Ulfat Sikha Gaya Koi

Dil Ki Duniya Pe Cha Gaya Koi

Ta Qayamat Kisi Tarah Na Bujhe

Ag Aisi Laga Gaya Koi

Dil Ki Duniya Ujari Si Kyun Hai

Kya Yahan Se Chala Gaya Koi

Waqt E Rukhsat Gale Laga Kar

Hansate Hansate Rula Gaya Koi. . . !!!

 

Jo Ansu Ki Tarah Behta Gya Wo Waqt Hu Main

Jise Qadam Qadam Par Azmaya Gya Wo Waqt Hu Main Shayad Isi Tarah Likhi Meri Taqdeer Khuda Ne

Jise Chahne Wala To Mila Par Chaha Na Gya

Aisa Shakhs Hoon Main

 

 

Sham se aankh mein nami si hai Aaj

Phir aap ke kami si hai

Dafn kar do hamen ke sans mile

Nabz kuch der se thami si hai

Waqt rehta nahi kahin chupa

Ke is ki aadat bhi aadmi si hai

Koi rishta nahi raha phir bhi

Ek tasalli lazmi si hai

 

 

Waqt Do Hi Mushkil Guzre Hain Dunya Mein

Ek Tere Aane Se Pehle,Ek Tere Jane Ke Baad

 

Sath Rehna Hai Jitna Reh Lo

Sath Mere Tum Sanam

Lot Kar Na Tum Ao Ge

Na Phir Hamain Ye Waqat Mily Ga.

 

Tu Maan Ya Na Maan

Ab Ye Waqt Waqt Ki Baat Hai,

Aj Ban Gaya Hoon Khud Sawal

Kabhi har Sawal Ka Jawab Tha…….

 

Hum Pe Bhi Wo Waqt Aya Tha

Kisi Ko Aankhon Me Basaya Tha

Usi Ne Loot Liya Mera Jahaan

Jise Dil Ki Dhadkan Banaya Tha!

 

 

 

 

Waqt Rootha Raha Bachon Ki Tarah,

Raah Ma Koi Khilona Na Mila

Dosti Bhi To Nibhaai Na Gai,

Dushmani Main Bhi Adaawat Na Hui.

 

Waqt Ka Har Ik Chalan Badal Dein

Chalo Nizaam E Kohan Badal Dein

Banayein Nayzon Ko Lafz Aur Hum

Ada-E-Shair-O-Sukhan Badal Dain

 

Tu Kya Jaane Kya Hai Tanhai

Is Toote Huwe Patte Se Puchh,

Kya Hai Judai

Bewafai Ka Ilzaam Na De Zaalim

Is Waqt Se Pucch,

Kis Waqt Teri Yaad Na Aayi.

 

Waqt Ki Dhoop Ho Ya Baarish,

Kuch Kadmon Ke Nishan Kabhi Nahi Khote,

Jinhe Yaad Karke Khush Hoti Hai Aankhen,

Wo Log Door Hokar Bhi Door Nahi Hote!

 

Kisi Roz Shaam Ke Waqt

Suraj Ke Araam K Waqt

Mil Jaye Saath Tera

Hath Me Lay Ke Haath Tera

Door Kahin Tanhaye Main

Dunya Se Judae Main

Apne Sang Bithaoon Tujhe Kisi Roz.

 

Saath Rehte Rehte Yuhin Waqt Guzar Jayega

Door Hone Ke Baad Kaun Kise Yaad Aayega

Jee Lo Ye Pal Jab Hum sath Hain

Kal Ka Kya Pata, Waqt Kahan Le Jayega

 

Lamha Lamha Waqt Guzar Jayega

Rooh Ka Daman Bhi Sath Chod Jayega,

Abhi Waqt Hai Pal Do Pal Sath Guzar Lo

Kal Kya Pata Kon Kiski Zindgi Se Chala Jayega

 

Is qadar Hum Yaar Ko Manane Nikle

Uski Chahat Ke Hum Deewane Nikle

Jab Bhi Use Dil Ka Haal Batana Chaha

To Uske Hothon Se

Waqt Na Hone Ke Bahane Nikle!

 

Waqt Guzarta Raha Per Sans Thami Si Thi

Muskura Rahe Thy Hum,

Per Ankhon Me Nami Si Thi

Saath Hamaray Jahan Tha Sara

Par Najanay Kyon Tumhari Kami Si Thi

 

Kuch Waqt Pehle Hamey Bhi

Zindagi Ne Azmaya Tha,

Ek Shaks Ke Sath Humne Bhi

Hasta Hua Pal Bitaya Tha,

Rota Hua Chod Gya To Kya Hua

Hasna Bhi To Usi Ne Sikhaya Tha.

 

 

Bicharte Waqt Usne Kaha Tha

Na Sawal Karna, Na Jawab Milay Ga

Mujhe Bhool Jana Qarar Milay Ga

Hum Uss Muqam Per They…

Na Sawal Kia Na Jawab Mila

Na Bhool Sakey Na Qarar Mila…!!!

 

Jaanu Main Uski Har Ek Baat

Aaj Bhi Yaad Aati Hai Wo Pehli Mulaqat

Guzre Wo Lamhe Wo Din Aur Raat

Yahi To Hai Waqt Ki Mujh Ko Saugaat

 

 

mere hi lahu par guzar auqat karo homujh se hi amiron ke tarah baat karo hodin ek sitam ek sitam raat karo howo dost ho dushman ko bii mat karo hohum khaqnashin tum sukhanaray sarebampas aakar milo dur se kya baat karo hohum ko jo mila hai wo tumhin se to mila haihum aur bhula den tumhen kya baat karo hoyun to muh pher ke dekho bhi nahi hojab waqt pade hai to madarat karo hona daman pe koi chint na khanjar pe koi daagtum qatl karo ho ke karamat karo hobakane do “ajiz” ko jo bole hai bake haidivana hai divane se kya baat karo hoPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kaleem Ajiz

 

 

Kal Mila Waqt To Zulfein Teri Suljha Doonga,

Aaj Uljha Hoon Zara Waqt Ko Sulajhane Mein,

Yoon To Sulajh Jati Hain Uljhi Zulfein,

Umar Kat Jati Hai Waqt Ko Sulajhane Mein.

 

 

 

Beshak Kuch Waqt Ka Intzaar Mila Humko,

Par Khuda Se Badkar Yaar Mila Humko,

Na Rahi Tamanna Kisi Jannat Ki,

Dosti Mein Itna Pyaar Mila Humko !!

 

Wo Jo Jate The Ankhon Main

Chand Sitare Le Kar

Jane Kis Des Gaye

 Khawb Hamare Le Kar

Kitne Bhi Door Chale Jaye

 Wo Hum Se Lekin …..

Waqt Ayega Unhe Pas Hamare Le Kar

 

Sath Rahte Rahte Youn Hi Waqt Guzar Jae Ga

Door Hone K Bad Kon Kise Yaad Aae Ga

Je Lo Ye Pal Jab Hum Tumhare Sath Hain

Kal Ka Kia Pata Waqt Kahan Ley Jae Ga

 

Kabhi To Miley Pehli Mulaqat Ki Terha

Bigra Hi Rehta Hy Kyun Halaat Ki Terha

Wo Ek Dost Jo Lagy Jaan Say Pyara Mujhy

Waqt To Deta Hey Magar Kheraat Ki Tarha

 

 


Post a Comment

0 Comments