Wasi Shah

 Wasi Shah poetry, Ghazals

Wasi Shah

Wasi Shah


Samaj Nahi Aati Wafa Krain Tu Kis Se Krain Wasi


Matti Se Bane Ye Log Kaghaz Ke Tukron Pe Bik Jate Hain


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Is qadar toot ke tum peh hamain payar aata hai

Apni banhon mein bharain mar hi dalen tum ko

❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Teri Yaad Aye Tu Neend Jati Rehti Hai


Khuwab Toot Jate Hain Ab Bi Teri Aahat Par


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Mere Chehray Se Mera Dard Na Parh Pao Ge Wasi


Meri Aadat Hai Har Baat Pe Muskra Dena


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Wo Keh Rahi Thi Sumandar Nahi Hain Aankhain Hain


Mai Un Mai Dob Gya Aetbar Karte Hoye


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Main Kese Sard Hathon Se Tumhare Gaal Chota Tha

December Main Tumhen Meri Sharat Yaad Aye Gi

❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤ 

Talaash-e-Wafa Sey Khud Ko Kiyun Azziyat Detey Ho Wasi,

Ab Maan Bhi Lo K Is Duniya Me Koi Wafadar Nahi

❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par

Wasi Mein Jab Bhi Hansta Hun Tu Aankhen Bheg Jati Hain

❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Kab Bhulaye Jate Hai Dost Juda Ho Kar Bi Wasi


Dil Tot Tu Jata Hai Rehta Phir Bi Sene Mai Hai


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Jo Tu Nahi Tu Ye Mukamal Na Ho Saken Gi


Teri Yehi Ahmiyat Hai Meri Kahaniyon Mein


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Aaj Bhi Woh Taqaddus Bhari Raat Mehki Hui Hai Wasi


Mein Kisi Mein, Koi Mujh Mein Dhalta Raha, Chaand Jalta Raha


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Dil Main Afsos Ankhon Main Nami Si Rehti Hai


Zindagi Main Shayad Koi Kami Si Rehti Hai


Muj Se Roth Jate Hain Aksar Apne Wasi


Shayed Mere Khalos Mein Koi Kami Si Rehti Hai


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Kon Rota Hai Yahan Raat Ke Sannaton Mein


Mere Jaisa Hai Koi Ishq Ka Mara Ho Ga


Kam Mushkil Hai Mgar Jeet Hi Lon Ga Us Ko


Mere Mola Ka Wasi Jonhi Ishara Ho Ga


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Kab Talak Tuj Pe Inhisar Krain


Kun Na Ab Dosron Se Pyar Krain


Tu Kabi Waqt Par Nahi Phucha


Kis Tarah Tera Aitbar Krain



❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Andheri Raat Main Rehte Tu Kitna Acha Tha

Ham Apni Zaat Main Rehte Tu Kitna Acha Tha

Dukhon Ne Bant Lia Hai Tumhare Baad Hmain

Tumhare Haath Me Rehte Tu Kitna Acha Tha


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Samandar Main Utarta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jati Hain

Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tu Aankhein Bheig Jati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chin Gayi Jab Se

Koi Bi Lafz Likhta Hoon Tu Aankhein Bheeg Jati Hain


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Har Ik Shab Meri Taza Azab Main Guzri


Tumhare Bad Tumhare Hi Khwab Main Guzri


Mai Ik Phol Hoon Wo Muj Ko Rakh Ke Bhol Gaya


Tmam Umar Usi Ki Kitab Main Guzri



❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Hijr Ka Tara Doob Chla Hai Dhalne Lgi Hai Raat Wasi


Qatra Qatra Bars Rahi Hai Ashko Ki Barsat Wasi


Tere Bad Ye Dunya Wale Mujhko Pagal Kar Dain Ge


Khushbo Ke Dais Mai Muj Le Chal Apne Sath Wasi


Yun Hi Chup Ki Muhr Lga Kar Kab Tak Gum Sum Betho Gay?


Khamoshi Se Dam Guta Hai Chero Koi Baat wasi


Choro Wasi Ab Us Ki Yaadain Tuj Ko Pagal Kar Dain Gi


Tu Qatra Hai Wo Darya Hai Dekh Apni Aoqat Wasi


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤


Meri Aankhon Mein Ansoo Pighalta Raha, Chaand Jalta Raha

Teri Yaado Ka Sooraj Nikalta Raha, Chaand Jalta Raha

Koi Bistar Pay Shabnam Lapete Hue Khawab Dekha Kya

Koi Yaado Mein Karvat Badalta Raha, Chaand Jalta Raha

Meri Aankhon Mein Campus Ki Sab Saaetein Jaagti Hain Abhi

Neher Par Too Maray Sath Chalta Raha, Chaand Jalta Raha

Mein To Yeh Jaanta Hon Ke Jis Shab Mujhe Chor Kar Tum Gaye

Asmano Se Shola Nikalta Raha, Chaand Jalta Raha

Raat Aayi To Kya Kya Tamashay Hue, Tujh Ko Maloom Hai ?

Teri Yaado Ka Sooraj Ubalta Raha, Chaand Jalta Raha

Raat Bhar Meri Palkon Ki Dehleez Par Khawab Girtay Rahay

Dil Tadapta Raha, Haath Milta Raha, Chaand Jalta Raha

Yeh December Ke Jis Mein Kari Dhoop Bhi Meethi Lagne Lage

Tum Nahi To December Sulagta Raha, Chaand Jalta Raha

Aaj Bhi Woh Taqaddus Bhari Raat Mehki Hui Hai Wasi

Mein Kisi Mein, Koi Mujh Mein Dhalta Raha, Chaand Jalta Raha

❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤


Jab Gham Meri Dharkan Meri Baton Se Ayaan Tha, Tu Kahan Tha

Jab Charon Taraf Dard Ke Darya Ka Samaa Tha, Tu Kahan Tha

Ab Aaya Hai Jab Dhal Gaye Hain Sabhi Mosam, Maray Humdam

Jab Tairay Liye Mra Har Ehsaas Jawan Tha, Tu Kahan Tha

Ab Sirf Khamoshi Hai Muqaddar Ka Sitara, Mere Yaara

Jab Lab Pay Faqat Tera Faqat Tera Bayan Tha, Tu Kahan Tha

Ab Aaya Hai Jab Kaam Dikha Bhi Gaya Sawan, Maray Sajan

Jab Chaar So Mere Liye Khushiyon Ka Samaan Tha, Tu Kahan Tha



❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤



Apne Ehsas Se Cho Kar Muje Sandal Kar Do


Main Ke Sadiyon Se Adhoora Hoon Mukamal Kar Do


Na Tumhain Hosh Rahe Aur Na Muje Hosh Rahe


Is Qadar Toot Ke Chaho Mujhe Pagal Kar Do


Tum Hatheli Ko Mere Pyar Ki Mehndi Se Rango


Apne Hath Me Mere Naam Ka Kajal Kar Do


Dhoop Hi Dhoop Hoon Main Toot Ke Barso Muj Par


Me Tu Sehra Hoon Mujhe Pyar Ka Badal Kar Do


Us Ke Saye Main Mere Khawab Mehak Uthain Gay


Mere Chehre Pe Umeedon Bhra Aanchal Kar Do


Apnay Honton Se Koi Mhr Lagao Mujh Par


Ik Nazar Pyar Se Dekho Muje Ghayal Kar Do


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤


Ek Bar Tu Milne Aao December Aane Wala Hai


Kesa Guzra Hai Ye Sal Btao, December Aane Wala Hai


Khush Ho Jao K Milne Ka Sal Aa Raha Hai Phir


Wasi Yun Na Aansu Bahao December Aane Wala Hai


Shayad Ab K Baras Bi Wo Lot Kar Na Aye


Tanhion Abi Chor Kar Na Jao, December Aane Wala Hai


Ye Kya K Raat Din Us Ki Yaad Mein Doobe Rehna


Na Gham Ki Barish Mai Nahao, December Aane Wala Hai


Ae Mere Dukhon Ke Sathio Khush Ho Jao


Apne Apne Ghron Ko Sjao December Aane Wala Hai


Kia Pta Phir December Aye Na Aye Jan-e Wasi


Meri Mano Ab Tum Lot Ayo December Aane Wala Hai


Han December Ane Wala Hai



❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Sari Raat Ki Jagi Aankhein

College Mein Kya Parhti Hon Gi

Yunhi Khoye Dil Hi Dil Mein

Jane Kya Kya Karti Hon Gi

Sari Raat Ki Jagi Aankhein

Koi Bole Kaan Na Dharna

Koi Hile Tu Ik Dam Darna

Koi Dekhe In Ka Barhna

Apne Aap Se Larti Hun Gi

Sari Raat Ki Jagi Aankhein

Apni Kitabain Parhte Rhena

Us Ki Batain Karte Rehna

Us Ki Yaadain Gharte Rehna

Jeete Jeete Marti Hun Gi

Sari Raat Ki Jagi Aankhein

College Mein Kya Parhti Hon Gi








Post a Comment

0 Comments