Rahat Indori Poetry, Ghazals

 Rahat Indori Poetry, Ghazals 

Rahat indori
Rahat indori


Ab To Har Hath Ka Pathar Hmain Pehchanta Hai

Umar Guzri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaatey

…………………………………….

Raaz Jo Kuch Ho Isharoon Mein Bata Bhi Dena

Haath Jab Un Se Milana To Daba Bhi Dena

…………………………………

Bohat Gharoor Hai Darya Ko Apne Hone Par

Jo Meri Payaas Se Uljhe To Dhajyan Udd Jayen

…………………………………………

Maza Chakha Ke Hi Maana Hoon Mein Bhi Dunya Ko

Samajh Rahi Thi Keh Aese Hi Chor Doon Ga Usay

…………………………………………..

Saari basti qadmon main hai, ye bhi ik fankaaari hai

Warna badan ko chor ke apna jo kuch hai sarkari hai

………………………………………

Aik Hi Nadi Ke Hain Yeh Do Kinaare Dosto
Dostana Zindagi Se, Mout Se Yari Rakho

……………………………………….

Ye Sanihaa To Kisi Din Guzarne Wala Tha

Main Bach Bhi Jata To Ik Roz Marne Wala Tha

………………………………………

Ghar Se Yeh Soch Ke Nikla Hoon Ke Mar Jana Hai

Ab Koi Raah Dikha Day Ke Kidhar Jana Hai

………………………………………

College Ke Sab Bachay Chup Hain Kaghaz Ki Ik Nao Liye

Charon Tarf Darya Ki Soorat Pheli Hoyee Bekari Hai

…………………………..

Aankh Mein Pani Rakho Honton Pe Changari Rakho

Zinda Rehna Hai To Tarkeben Boht Sari Rakho

 

……………………………………………

Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye

Dushmano Ki Bhi Raye Li Jaye

…………………………………………………….

Bemar Ko Marz Ki Dawa Deni Chahye

Mein Pita Hoon Pila Deni Chahye

…………………………….

Ham Se Pehle Bhi Musaafir Kayi Guzre Hon Gey

Kam Se Kam Rah Ke Pathar To Hatate Jate

…………………………………

Mein Ne Apni Khusk Aankhon Se Laho Chilka Diya

Ik Smundar Kehta Tha Mujhko Ko Pani Chahye

………………………………..

Shakhon Se Toot Jayen Wo Patte Nahi Hain Ham

Aandhi Se Koi Keh De Apni Auqaat Mein Rahey

………………………………………….

 

Roz Taaron Ko Numaish Mein Khalal Padta Hai

Chaand Pagal Hai Andheray Mein Nikal Parta Ha


Aik Dewanaa Musafir Hai Meri Aankhon Mein

Waqt Be Waqt Thehrta Hai Chal Padta Hai


Apni Tabeer Ke Chakar Main Mera Jagta Khwab

Roz Suraj Ki Tarah Ghar Se Nikal Padta Hai


Roz Pathar Ki Hamayat Main Ghazal Likhte Hain

Roz Sheshon Se Koi Kaam Nikal Parta Hai


Us Ki Yaad Ayi Hai Saanson Zara Aahista Chalo

Dharkno Se Bi Ibaadat Main Khalal Parta Hai

………………………………………

 

 

Chamakte Lafz Sitaron Se Chen Laye Hain

Ham Aasman Se Ghazal Ki Zameen Laye Hain


Wo Aur Hon Ge Jo Khajar Chupa Ka Laate Hain

Ham Apne Sath Phati Aasteen Laye Hain


Hmari Baat Ki Gehrai Kya Khaak Samjhe Gey

Jo Parbaton Ke Liye Khurd-Been Layen Hain


Hanson Na Ham Peh Keh Har Bad Naseeb Banjare

Saron Pe Rakh Ke Watan Ke Zameen Laye Hain


Mere Qabeelay Ke Bachon Ke Khel Bhi Hain Ajeeb

Kisi Sipahi Ki Tilwar Chen Laye Hain

………………………………………………

Sab Ko Ruswa Baari Baari Kiya Karo

Har Mosam Main Fatwe Jari Kiya Karo


Raaton Ka Neendon Se Rishta Toot Chuka

Apne Ghar Ki Pehre Dari Kya Karo


Qatra Qatra Shabnam Gin Kar Kiya Ho Ga

Daryaon Ki Dawe-Dari Kya Karo


Roz Qaseeday Likhon Gonge Behron Ke

Fursat Ho To Ye Begari Kiya Karo


Shab Bhar Aane Wale Din Ke Khwab Buno

Din Bhar Fikar Shab Bedari Kiya Karo


Chand Zayada Roshan Hai Tu Rehne Do

Jugnu Bhaya Ji Mat Bhari Kiya Karo


Jab Ji Chahe Mot Bicha Do Basti Mein

Lekin Batain Payari Payari Kiya Karo


Rata B-Din Darya Mein Roz Utarti Hai

Is Kashti Mein Khob Sawari Kiya Karo


Roz Wohi Ik Koshish Zinda Rehne Ki

Marne Ki Bhi Kuch Tayari Kiya Karo


Khwab Lapete Sote Rehna Thek Nahi

Fursat Ho Tu Shab Bedari Kiya Karo


Kaghaz Ko Sab Sonp Dya Ye Thek Nahi

Sher Kabi Khud Par Bhi Taari Kiya Karo

 

 

 


Post a Comment

0 Comments