Munir Niazi Poetry, Ghazals and Shayari
Munir Niazi |
Ye kesa nasha hai main kis ajab Khumaar main hoon
Tu aa ke jaa bhi chuka hai, Main intizar main hoon
یہ کیسا نشہ ہے میں کس عجب خمار میں ہوں
توُ آکے جا بھی چکا ہے،میں انتظار میں ہوں
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Aa gayi yaad sham dhalte hi
Bujh gaya dil chiragh jalaty he
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Khushbu Ki Deewar Ke Peche Kese Kese Rang Jamay Hain
Jab Tak Din Ka Soraj Aaye Us Ka Khoj Lagate Rehna
Apny ghar ko wapis jao ro ro kar samjhata hai
Jahan bhi jaon mera saya pechy pechy aata hai
Shak Rawan Ki Neher Hai Aur Hum Hain Dostoo
Us Be Wafa Ka Shehar Hai Aur Hum Hain Dostoo
Jaante Thy Dono Ham Us Ko Nibah Nahi Sakte
Us Ne Wada Kar Liya Mein Ne Bhi Wada Kar Liya
Koi Tu Hai Munir Jisay Fikar Hai Meri
Ye Jaan Kar Ajeeb Se Hairat Hui Muje
Ik Aur Darya Ka Saamna Tha Munir Mujh Ko
Main Ek Dariya Ke Par Utra To Main Ne Dekha
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Khayal Jis Ka Tha Muje Khayal Mein Mila Muje
Sawal Ka Jawab Bi Sawal Mein Mila Muje
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Ghair Se Nafrat Jo Pali Kharch Khud Par Ho Gyi
Jitney Ham Thy Ham Ne Khud Ko Us Se Aadha Kar Liya
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Kisi Ko Apne Amal Ka Hisaab Kya Dete
Sawal Sare Ghalat Thay Jawab Kya Dete
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Meri Sari Zindagi Ko Be Samar Us Ne Kya
Umar Meri Thi Mgar Usko Basar Us Ne Kya
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Kuch Waqt Chahte Thay Keh Sochen Tere Liye
Tu Ne Wo Waqt Hum Ko Zamane Nahi Diya
Kal Mein Ne Us Ko Dekha Tu Dekha Nahi Gaya
Muj Se Bichar Ke Wo Bhi Bohat Gham Se Choor Tha
Aadat Hi Bna Li Hai Tum Ne To Munir Apni
Jis Shehar Mein Rehna Uktaye Hoye Rehna
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Khayal Jis Ka Tha Muje Khayal Mein Mila Muje
Sawal Ka Jawab Bhi Sawal Mein Mila Mujhe
Khwahishen Ghar Se Bahar Dor Jaane Ki Bohat
Shoq Lekin Dil Mein Wapas Laut Aane Ka Tha
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Jo Muje Bhula De Gay Mai Unhain Bhula Don Ga
Sab Ghuror Un Ka Mai Khak Mai Mila Don Ga
Dekhta Ho Sab Shaklain, Sun Raha Ho Sab Batain
Sab Hisab In Ka Mai Ik Din Chuka Don Ga
Roshni Dikha Don Ga In Andhair Ngron Mai
Ik Hawa Zaion Ki Char So Chla Doon Ga
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Aaina Ab Juda Nahi Karta,
Qaid mei hoon rihaa nahin karta,
Mustaqil sabr mei hai koh-e-giran,
Naqsh-e-ibrat sada nahi karta,
Rang-e-mehfil badalta rehta hai,
Rang koi wafaa nahin karta,
Aish-e-duniya ki justuju mat kar,
Yeh dafeena mila nahin karta,
Ji main aaye jo kar guzarta hai,
Tuu kisi ka kahaa nahin karta,
Ek waaris hamesha hota hai,
Takht khali rahaa nahi karta,
Ehd-e-insaaf aa raha hai “munir”,
Zulm daayem hua nahin karta.
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Aayi Hai Ab Yaad Kya Raat Ik Beete Saal Ki,
Yehi havaa thi baagh mei yehi sadaa gharriyaal ki,
Mehak ajab si ho gayi pare pare sanduuq mei,
Rangat pheeki parr gayi resham ke ruumaal ki,
Shaam jhuki thi behr pr paagal ho kar rang se,
Yaa tasveer thi khwab mein mere kisi khayal ki,
Umr ke saath ajeeb sa ban jaata hai aadmi,
Haalat dekh ke dukh hua aaj uss parii-jamaal ki,
Dekh ke mujh ko ghaur se phir woh chup se ho gaye,
Dil main khalish hai aaj tak iss an-kahe sawaal ki..Aayi
Hai Ab Yaad Kya Raat Ik Beete Saal Ki,
Yehi havaa thi baagh mei yehi sadaa gharriyaal ki,
Mehak ajab si ho gayi pare pare sanduuq mei,
Rangat pheeki parr gayi resham ke ruumaal ki,
Shehr mei dar tha maut ka chaand ki chauthii raat ko,
Eeentton ki iss khohh mein dehshat thi bhaunchaal ki,
Shaam jhuki thi behr pr paagal ho kar rang se,
Yaa tasveer thi khwab mein mere kisi khayal ki,
Umr ke saath ajeeb sa ban jaata hai aadmi,
Haalat dekh ke dukh hua aaj uss parii-jamaal ki,
Dekh ke mujh ko ghaur se phir woh chup se ho gaye,
Dil main khalish hai aaj tak is an-kahe sawaal ki..
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
0 Comments
Dear Visitors please don't send bad comment and don't share spam links.thank you for your support.