Kishwar Naheed

 Kishwar Naheed Poetry in Urdu, Poems and Ghazal of Kishwar Naheed in Urdu

 

Kishwar Naheed
Kishwar Naheed



Kuch din to malal us ka haq tha

Bichhda to Khayal us ka haq tha

 

Talluqat ke tawiz bhi gale main nahin

Malal dekhne aaya hai rasta kaise

 

Kaun jaane ki udti hui dhup bhi

Kis taraf kaun si manzilon mein gai

 

Jawan gehun ke kheton ko dekh kar ro den

Wo laDkiyan ki jinhen bhul baiThin maen bhi

 

Hamein dekho hamare pas baitho hum se kuchh sikho

Hamin ne pyar manga tha hamin ne dagh pae hain

 

Hamein aziz hain in bastiyon ki diwaren

Ki jin ke sae bhi diwar bante jate the

 

Dil mein hai mulaqat ki Khwahish ki dabi aag

Mehndi lage hathon ko chupa kar kahan rakhoon

 

Dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle

Us ko bhi bhulna achchha laga pahle pahle

 

Bhul jaoge ki rahte the yahan dusre log

Kal phir aabaad karenge ye makan dusre log

 

Apni be-chehragi chhupane ko

Aaine ko idhar udhar rakkha



❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Zehan rehta hai badan Khwab ke dam tak us ka

Phir wahi ranj wahi Khema-e-gham tak us ka

Meri aankhen meri dehleez pe rakh deta hai

Khas hai mere liye shauq-e-sitam tak us ka

Hai mere aab-e-mohabbat se wo shadab bahut

Meri pahchan mein hai qamat-e-nam tak us ka

Baadban ab to hawaon ko bhi pehchante hain

Hath pahuncha hai bahut der mein hum tak us ka

Dil-e-afsurda sar-e-sham sulag uthta hai

Sahil-e-jaan rakhe ab kaise bharam tak us ka

Wo to jhonke ki tarah aa ke guzar jata hai

Dasht-e-jaan us ka hai aur KHwab-e-iram tak us ka

Ku-e-ehsas tere hausle taslim magar

Sehn-e-zindan hi lage naqsh-e-qadam tak us ka

Baat aaine se karne ko bhi mauqa Dhoonden

Khalwat-e-shoq tarashe hai sanam tak us ka


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤


Kuttey aur Khargosh


Do Khargosh the pyare pyare

Ek moti ek hira

Moti kale kanon wala

Hira bhura bhura

Do kutto ne dekha un ko

Chain se yun jo baiTha

Munh mein ek ke pani aaya

Dusra fauran lapka

Chain se kone mein baithe the

Sochte the ki jaen

Samne ke kheton se do ek

Gajaren tod ke laen

Bhage sarpat dekh ke kutte

Dono hi Khargosh

Mot nazar aati thi un ko

Aur na tha kuch hosh

Bhagte bhagte hira bola

Ye kutte hain shikari

Moti bola tum pagal ho

Aql Kharab tumhaari

Hire ko gussa phir aaya

Phula ke dum wo bola

Tum ne mujh ko kya samjha hai

Kar dun tum ko sidha

Idhar wo aapas mein ladte the

Udhar wo kutte pahunche

Donon Khargoshon ki janib

Donon kutte lapke

Khargoshon ne bahs mein pad ke

Hae jaan gawai

Sach hai baad mein pachtane se

Kis ne izzat pai


کتے اور خرگوش

دو خرگوش تھے پیارے پیارے

اک موتی اک ہیرا

موتی کالے کانوں والا

ہیرا بھورا بھورا

دو کتوں نے دیکھا ان کو

چین سے یوں جو بیٹھا

منہ میں ایک کے پانی آیا

دوسرا فوراً لپکا

چین سے کونے میں بیٹھے تھے

سوچتے تھے کہ جائیں

سامنے کے کھیتوں سے دو اک

گاجریں توڑ کے لائیں

بھاگے سرپٹ دیکھ کے کتے

دونوں ہی خرگوش

موت نظر آتی تھی ان کو

اور نہ تھا کچھ ہوش

بھاگتے بھاگتے ہیرا بولا

یہ کتے ہیں شکاری

موتی بولا تم پاگل ہو

عقل خراب تمہاری

ہیرے کو غصہ پھر آیا

پھلا کے دم وہ بولا

تم نے مجھ کو کیا سمجھا ہے

کر دوں تم کو سیدھا

ادھر وہ آپس میں لڑتے تھے

ادھر وہ کتے پہنچے

دونوں خرگوشوں کی جانب

دونوں کتے لپکے

خرگوشوں نے بحث میں پڑ کے

ہائے جان گنوائی

سچ ہے بعد میں پچھتانے سے

کس نے عزت پائی


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Gadhe Ne Bajai Bansuri

Hathon main dastaane pehne

Gale main bushirt Dali

Nak Nathune chaude kar ke

Gadhe ne dum akdai

Chala maTak ke Thumak Thumak

Khud hi gata hansta

Dekh ke ek lakdi ka tukda

Gadhe ne jhuk ke pakda

Munh se jo hi lagai us ne

Bansuri boli pen-pen

Sun ke ye aawaz gilahri

Khushi se boli chen-chen

Ab to jangal jangal phirte

Gadhe-miyan itraate

Hans hans ke Khargosh-miyan ke

Pet mein bal pad jate

Roab jamata phirta sab par

Dil bahlata apna

Acha lagta bi-chyunti ko

Gadhe-miyan ka hansna


گدھے نے بجائی بانسری


ہاتھوں میں دستانے پہنے

گلے میں بش شرٹ ڈالی

ناک نتھنے چوڑے کر کے

گدھے نے دم اکڑائی

چلا مٹک کے ٹھمک ٹھمک

خود ہی گاتا ہنستا

دیکھ کے اک لکڑی کا ٹکڑا

گدھے نے جھک کے پکڑا

منہ سے جو ہی لگائی اس نے

بانسری بولی ''پیں پیں''

سن کے یہ آواز گلہری

خوشی سے بولی ''چیں چیں''

اب تو جنگل جنگل پھرتے

گدھے میاں اتراتے

ہنس ہنس کے خرگوش میاں کے

پیٹ میں بل پڑ جاتے

رعب جماتا پھرتا سب پر

دل بہلاتا اپنا

اچھا لگتا بی چیونٹی کو

گدھے میاں کا ہنسنا


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

Chirya aur Koyal

Mota sa ek baaje waala
Chalta chalta jangal aaya
Jangal main koyal rahti thi
Pinjre mein band wo baithi thi
Baje ko dekh ke chahki wo
Muddat ke baad hi boli wo
Tu baja baja main gaungi
Naghme main achchhe sunaungi
Koyal ne yun gana gaya
Baje wala bhi mast hua
Thi paas hi ek chidiya baithi
Gana sun ke wo kehne lagi
Koyal-bi tum ko hai aata
Kitna achchha gana gana
Aawaz tumhaari pyari hai
Sari duniya se nyari hai
Tum khud hi git banati ho
Tum Khud hi achchha gati ho
Tum kyun is baje wale ko
Kahti ho saz bajaane ko
Phir ek din ye baje wala
Har ek se ye kehta hoga
Main ne hi ja kar sikhlaya
Koyal ko bhi gana gana
Meri mano ek kaam karo
Tum roshan apna nam karo
Pinjre se nikal bahar aao
Tum Dali Dali Khud gao
Ye sun ke koyal bhi hans di
Chidiya se phir wo yun boli
Kya koi hunar bhi bin sikhe
Aata hai kisi ko chupke se
Jab mashq nahi karta koi
Mahir nahi ban sakta koi
Jis ne kiya apne fan ko yaad
Aakhir wahi kahlaya ustad


چڑیا اور کوئل

موٹا سا اک باجے والا

چلتا چلتا جنگل آیا

جنگل میں کوئل رہتی تھی

پنجرے میں بند وہ بیٹھی تھی

باجے کو دیکھ کے چہکی وہ

مدت کے بعد ہی بولی وہ

تو باجا بجا میں گاؤں گی

نغمے میں اچھے سناؤں گی

کوئل نے یوں گانا گایا

باجے والا بھی مست ہوا

تھی پاس ہی ایک چڑیا بیٹھی

گانا سن کے وہ کہنے لگی

کوئل بی تم کو ہے آتا

کتنا اچھا گانا گانا

آواز تمہاری پیاری ہے

ساری دنیا سے نیاری ہے

تم خود ہی گیت بناتی ہو

تم خود ہی اچھا گاتی ہو

تم کیوں اس باجے والے کو

کہتی ہو ساز بجانے کو

پھر ایک دن یہ باجے والا

ہر ایک سے یہ کہتا ہوگا

میں نے ہی جا کر سکھلایا

کوئل کو بھی گانا گانا

میری مانو اک کام کرو

تم روشن اپنا نام کرو

پنجرے سے نکل باہر آؤ

تم ڈالی ڈالی خود گاؤ

یہ سن کے کوئل بھی ہنس دی

چڑیا سے پھر وہ یوں بولی

کیا کوئی ہنر بھی بن سیکھے

آتا ہے کسی کو چپکے سے

جب مشق نہیں کرتا کوئی

ماہر نہیں بن سکتا کوئی

جس نے کیا اپنے فن کو یاد

آخر وہی کہلایا استاد


❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

 


Post a Comment

0 Comments