Ehsan Danish in poetry in urdu
Log Yun Dekh Ke Hans Dete Hain
Tu Muje Bhol Gya Hu Jese
لوگ یوں دیکھ کے ہنس دیتے ہیں
توُ مجھے بھول گیا ہو جیسے
Ham Haqeeqat Hain Tu Tasleem Na Karne Ka Sabab
Han Agar Harf Galat Hai Tu Mita Do Humko
Najany Mohabbat ka anjam kya hai
Main ab har tasalli se ghabra raha hoon
Kon deta hai Mohabbat ko prastish ka muqam
Tum ye insaf se socho to dua do hum ko
Ehsan esa talkh jwab e wafa mil
Hum is ke bad phir koi arman na kar sakey
Tum sada mizaji se mite phirte ho jis par
Wo shakhs to dunya main kisi ka bhi nahi hai
Ye Uri Uri Se Rangat Ye Khilay Khilay Se Ghaisu
Teri Subah Keh Rahi Hai Teri Raat Ka Fasana
Zabat Bhi Sabar Bhi Imkaan Mein Sab Kuch Hai
Pehle Kam-Bakht Mera Dil Tu Mera Dil Ho Jaye
Kuch Log Jo Sawar Hain Kaghaz Ki Nao Par
Tuhmat Tarashte Hain Hawa Ke Dbao Par
Wafa Ka Ehad Tha Dil Ko Sambhalne Ke Liye
Wo Hans Pare Muje Mushkil Mein Dalne Ke Liye
Kis Kis Ki Zuban Rokne Jaon Teri Khatir
Kis Kis Ki Tabahi Mein Tera Haath Nahi
Maqsad Zeesat Gham-e Ishq Hai Sehra Ho Keh Shehr
Beth Jayen Gey Jahan Chaho Batha Do Hum Ko
Husn Ko Duniya Ki Aankhon Se Na Dekh
Apni Ik Tarz-e Nazar Azad Kar
Mein Hairan Hun Keh Kyun Us Se Hoyi Thi Dosti Apni
Muje Kese Gawara Ho Gyi Thi Dushmani Apni
Nazr Fareb-e Qaza Kha Gai Tu Kya Ho Gaya
Hayat Mot Se Takra Gayi Tu Kya Ho Gaya
Nai Sehr Ke Bahut Log Muntazir Hain Magar
Nai Sehr Bi Kujla Gayi Tu Kya Ho Gaya
Gham-e Hayat Se Beshak Hai Khudkushi Asan
Mgar Jo Mot Bi Sharma Gai Tu Kya Ho Gaya
Shbab Lala-o Gul Ko Pukarne Walo
Khazan Sarisht-e Bahar Aa Gayi Tu Kya Ho Gaya
Khushi Chini Hai Tu Gham Ka Bi Atemad Na Kar
Jo Ruh Gham Se Bi Ukta Gayi Tu Kya Ho Gaya
Ab K Yun Dil Ko Saza Di Hum Ne
Us Ki Har Baat Bhula Di Hum Ne
Aik Aik Phol Bahut Yaad Aya
Shakh-e Gul Jab Jila Di Ham Ne
Aaj Phir Yaad Bahot Aaye Wo
Aaj Phir Us Ko Dua Di Humne
Koi Tu Baat Usme Bi Hai Ehsan
Har Khushi Jis Par Luta De Ham Ne
0 Comments
Dear Visitors please don't send bad comment and don't share spam links.thank you for your support.