Ahmad Nadeem Qasmi(Ghazals)

Ahmad Nadeem Qasmi Ghazals




Ahmad Nadeem Qasmi
Ahmad-Nadeem-Qasmi


Wo Koi Aur Na Tha, Chand Khusk Patay Thay


Shjar Se Toot Ke Jo Fasal-e Gul Pe Roye Thay


Abi Abi Tumhain Socha Tu Kuch Na Yaad Aya


Abi Abi Tu Ham Aik Dosre Se Bichre Thay


Tumhare Baad Chaman Par Jab Ik Nazar Dali


Kali Kali Mai Khazan Ke Chiragh Jalte Thay


Tmam Umar Wafa Ke Gunahgar Rahe


Ye Aur Baat Ke Ham Aadmi Tu Ache Thay


Shab-e Khamosh Ko Tanhai Ne Zuban De Di


Phar Gonjte Thay Dashat Sansnate Thay


Wo Aik Bar Mary Jin Ko Tha Hayat Se Pyar


Jo Zindagi Se Graizan Thay Roz Marte Thay


Naye Khayal Ab Aate Hai Dhal Ke Zahan Mein


Hmare Dil Mai Kabi Khait Lehlhate Thay


Ye Irtiqa Ka Chalan Hai K Har Zmane Mein


Purane Log Naye Admi Se Darte Thay


Nadeem Jo Bi Mulaqat Thi Adhori Thi

K Aik Chehray Ke Peche Hzar Chehray Thay

Post a Comment

0 Comments