Mir Taqi Mir shayari in urdu
|
Mir Taqi Mir |
Ulti Ho Gayi Sab Tadberain Kuch Na Dava Ne Kam Kia
Dekha Is Bemari-e Dil Ne Aakhir Kaam Tamam Kia
الٹی ہو گئی سب تدبیریں،کچھ نہ دوا نہ کام کیا
دیکھا اس بیماری دل نے آخر کام تمام کیا
Wo Aaye Bazm Main Itna Tu Mir Ne Dekha
Phir Is Ke Bad Chiraghon Main Roshni Na Rahi
Nazuki UsKe Lab Ke Kia Kehye
Pankhari Ik Gulab Ki Si Hai
Pata Pata Boota Boota Haal Hamara Jane Hai
Jane Na Jane Dil Hi Na Jane Bagh Tu Sara Jane Hai
Yun Nakam Rahen Gey Kab Tak Ji Mein Hai Ik Kaam Karen
Ruswa Ho Kar Mar Jawain Us Ko Bhi Badnam Kren
Kehte Tu Ho Yun Kehte Yun Kehte Jo Vo Ata
Ye Kehne Ki Baatain Hain Kuch Bhi Na Kaha Jata
Iqrar Mein Kahan Hai Inkar Ki Se Sorat
Hota Hai Shoq Ghalib Us Kin Ahi Nahi Par
Ab Dekh Le Ke Sena Bhi Taza Hoya Hai Chak
Phir Ham Se Apna Hal Dikhaya Na Jaye Ga
Phirte Hai Mir Khwar Koi Pochta Hi Nahi
Is Aashqi Main Tu Izat Saadat Bi Gayi
Khuda Ko Kaam To Sonpay Hain Main Ne Sab Lekin
Rahy Hai Khof Mujhe Waan Ki Be Niazi Ka
Chaman Main Gul Ne Jo Kal Dawa Kamal Kia
Jamal-e Yaar Ne Munh Us Ka Khob Laal Kia
Tujhi Par Kuch Ae Buut Nahi Munhasir
Jisay Hum Ne Pooja Khuda Kar Diya
Bulbul Ghazal Sarai Aage Hamare Mat Kar
Sab Ham Se Sekhte Hain Andaz Guftagu Ka
Jab Ke Pehlu Se Yaar Uthta Hai
Dard Be Ikhtiar Uthta Hai
Bewafai Pey Teri Jee Hai Fida
Qahar Hota Jo Bawafa Hota
Bekhudi Le Gayi Kahan Ham Ko
Dair Se Intezaar Hai Apna
Ab Kar Ke Faramosh Tu Nashad Karo Gey
Par Ham Jo Na Hon Gey Tu Bohat Yaad Karo Gey
Ab Tu Jate Hain But Kade Se Mir
Phir Milen Gey Agar Khuda Laya
Milne Ka Wada Un Ke Tu Muh Se Nikal Gaya
Pochi Jga Ju Mai Ne Tu Kha Hans Ke Khwab Main
Rah Dor Ishq Mein Rota Hai Kya
Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya
Gham Raha Jab Tak Keh Dam Mein Dam Raha
Dil Ke Jane Ka Nahayat Gham Raha
Mir Un Neem Baaz Aankhon Mein
Sari Masti Sharab Ki Si Hai
Dekh Tu Dil Ke Jaan Se Uthta Hai
Yeh Dhuan Kahan Se Uthta Hai
Dil Ki Veerani Ka Kia Mazkor Hai
Ye Nagar So Martaba Loga Gya
Patta Patta Boota Boota Haal Hmara Jaane Hai
Jaane Na Jaane Gul Hi Na Jaane Bagh Tu Sara Jaane Hai
Ishq Ik ‘Mir’ Bhari Pathar Hai
Kab Ye Tujhe Naatwan Se Uthta Hai
Aag They Ibtadye Ishq Mein Hum
Ho Gaye Khak Inteha Yeh Hai
Yaaro Muje Maaf Rakho Main Nashe Mein Hun
Ab Do Tu Jaam Khali Hi Do, Main Nashe Mein Hun
Aik Aik Qart-e Dor Mein Yunhi Hi Mujhe Bi Do
Jam-e Sharab Par Na Karo, Main Nashe Mein Hun
Masti Se Barhami Hai Meri, Guftagu Ke Bech
Jo Chaho Tum Bi Muj Ko Kahu, Main Nashe Mein Hun
Ya Hathon Hath Lo Muje, Manind Jaam-e May
Ya Thori Door Sath Chalo, Main Nashe Mein Hun
Ma’azoor Hun, Jo Paon Mere Be Tarah Pare
Tu Sargaran Tu Mujhse Na Ho, Main Nashe Mein Hun
Nazak Mizaj Aap Qayamat Hain Mir Ji
Joon Shesha Mere Munh Na Lago, Main Nashe Mein Hun
0 Comments
Dear Visitors please don't send bad comment and don't share spam links.thank you for your support.