Daag Dehlvi shayari in Urdu and hindi
Ye Maza Tha Dil Lagi Ka Ke Brabar Aag Lagti
Na Tujhe Qarar Hota Na Mujhy Qarar Hota
Khuda Ki Qasam Us Ne Khayai Jo Aj
Qasam Hai Khuda Ki Maza A Gaya
Khatar Se Ya Lihaz Se Mein Maan Tu Gya
Jhooti Qasam Se Aap Ka Emaan Tu Gya
Khar Hasrat Bayan Se Nikla
Dil Ka Kanta Zuban Se Nikla
Chup Chap Sunti Rehti Hai Pehron Shab-e Firaq
Tasveer Yaar Ko Hai Meri Guftagu Pasand
Dekhna Hashar Mein Jab Tum Pe Machal Jaon Ga
Mein Bhi Kya Vaada Tumhar Hun Keh Tal Jaon Ga
Baat Karni Tak Na Aati Thi Tumhein
Ye Hamare Samne Ki Baat Hai
Teri Sorat Se Kisi Ki Nahi Milti Sorat
Hum Jahan Mai Teri Tasveer Lye Phirte Hain
Aao Mil Jao Keh Ye Waqt Na Paoge Kabi
Mein Bhi Hamrah Zamana Ke Badal Jaon Ga
Yun Bhi Hazaron Lakhon Mein Tum Intekhab Ho
Pora Karo Sawal Tu Phir La-Jawab Ho
Yun Mere Sath Dafan Dil Be-Qarar Ho
Chota Sa Ik Mazar Ke Andar Mazar Ho
Tum Ko Chaha Tu Khata Kya Hai Bata Do Mujhko
Dosra Koi Tu Apna Sa Dikha Do Muj Ko
Wafa Krein Gey Nibahen Gey Baat Maane Gey
Tumhain Bhi Yaad Hai Kuch Ye Kalam Kis Ka Tha
Tumhara Dil Mere Dil Ke Barabar Ho Nahi Sakta
Woh Sheesha Ho Nahi Sakta Ye Pathar Ho Nahi Sakta
Dil Hi Tu Hai Na Aaye Kyun, Dam Hi Tu Hai Na Jaye Kyun
Ham Ko Khuda Jo Sabar De Tuj Se Haseen Bnaye Kyun
Sitam Hi Karna Jafa Hi Karna, Nigah-e Ulfat Kabi Na Karna
Tumhein Qasam Hai Hamare Sar Ki Hamare Haq Mein Kami Na Karna
Dil Kya Milao Gey Keh Hamain Ho Gya Yaqeen
Tum Se Tu Khak Mein Bhi Milaya Na Jaye Ga
Khoob Parda Hai Chilman Se Lage Baithe Hain
Saaf Chupte Bi Nahi Samne Aate Bi Nahi
پوچھے کوئی مزاج تو الله رے غرور
کہتے نہیں وہ شکر ہے پروردگار کا
مرزا داغ دہلوی
پہلے تو داغ صاحب ان سے بگاڑ بیٹهے
اب جان جا رہی ہے ، دم نکل رہا ہے
مرزا داغ دہلوی
چال کی رہ نمائے عشق نے بھی
وہ دکھایا جو تھا مقام خراب
مرزا داغ دہلوی
واہ کیا منہ سے پھول جھڑتے ہیں
خوب رو ہو کے یہ کلام خراب
مرزا داغ دہلوی
زیست سے تنگ ہو اے داغؔ تو جیتے کیوں ہو
جان پیاری بھی نہیں جان سے جاتے بھی نہیں
مرزا داغ دہلوی
کیا ملا ہم کو زندگی کے سوا
وہ بھی دشوار، ناتمام، خراب
مرزا داغ دہلوی
تیری صورت سے کسی کی نہیں ملتی صورت
ہم جہاں میں تیری تصویر لیے پھرتے ہیں
مرزا داغ دہلوی
وہ بھی ساقی مجھے نہیں دیتا
وہ جو ٹوٹا پڑا ہے جام خراب
مرزا داغ دہلوی
ابر تر سے صبا ہی اچھی تھی
میری مٹی ہوئی تمام خراب
مرزا داغ دہلوی
داغ ہے بدچلن تو ہونے دو
سو میں ہوتا ہے اک غلام خراب
مرزا داغ دہلوی
Kia Zoq Hai Kia Shoq Hai So Martba Dekhon
Phir Bi Ye Khon Jalwa Jana Nahi Dekha
Kia Pojte Ho Kon Hai Ye? Kis Ki Hai Shuhrat
Kia Tum Ne Kabi Dagh Ka Dewan Nahi Dekha
Daagh Aankhein Nikalte Hain Wo
Un Ko De Do Nikal Kar Aankhein
Gilay Shikwe Kahan Tak Hon Gay, Aadhi Raat Tu Guzri
Perishan Tum Bi Hote Ho, Perishan Ham Bi Hote Hain
Kisi Ka Wa’ada Dedar Tu Ae Dagh Barhaq Hai
Magar Ye Dekhiye Dil Shad Us Din Hum Bi Hote Hain
Tumhare Khat Mein Naya Ik Salam Kis Ka Tha?
Na Tha Raqeeb To Aakhir Wo Naam Kis Ka Tha?
Wo Qatal Kar Ke Mujhe Har Kisi Se Poochte Hain
Ye Kaam Kis Ka Hai? Ye Kaam Kis Ka Tha?
Wafa Karein Ge, Nibhaen Ge, Baat Maanain Ge
Tumhein Bhi Yaad Hai Kuch, Ye Kalaam Kia Ka Tha?
Raha Na Dil Mein Wo Be_Dard Aur Dard Raha
Muqeem Kon Hua Hai, Maqaam Kis Ka Tha?
Na Pooch Gach Thi Kisi Ki Wahan Na Aao Bhagat
Tumhari Bazm Mein Kal Ehtamam Kis Ka Tha?
Tamam Bazam Jisy Sun Ke Reh Gai Mushtaaq
Kaho Wo Tazkira-E-Natamam Kis Ka Tha?
Guzar Gaya Wo Zamana, Kahoon To Kis Se Kahoon?
Khayal Dil Ko Mere Subh-O-Shaam Kis Ka Tha?
0 Comments
Dear Visitors please don't send bad comment and don't share spam links.thank you for your support.