Ahmad Faraz

 Ahmad Faraz shayari in urdu

Ahmad Faraz
Ahmad Faraz


Hum to Raazi hain

Wo jis haal main jesa rakhay


ہم تو راضی ہیں

وہ جس حال  میں جیسا رکھے


हम मानते हैं

जैसा वह डालता है

بندگی ہم نے چھوڑ دی ہے فراز
کیا کریں جب لوگ خُدا ہو جائیں

سلسلے توڑ گیا وہ سبھی جاتے جاتے،
ورنہ اِتنے تو مراسم تھے کہ آتے جاتے۔۔

تیرے ہوتے ہوئے محفل میں جلاتے ہیں چراغ
لوگ کیا سادہ ہیں سورج کو دکھاتے ہیں چراغ
اپنی محرومی کے احساس سے شرمندہ ہیں
خود نہیں رکھتے تو اوروں کے بجھاتے ہیں چراغ
بستیاں دور ہوئی جاتی ہیں رفتہ رفتہ
دم بہ دم آنکھوں سے چھپتے چلے جاتے ہیں چراغ
کیا خبر ان کو کہ دامن بھی بھڑک اٹھتے ہیں
جو زمانے کی ہواؤں سے بچاتے ہیں چراغ
گو سیہ بخت ہیں ہم لوگ پہ روشن ہے ضمیر
خود اندھیرے میں ہیں دنیا کو دکھاتے ہیں چراغ
بستیاں چاند ستاروں کی بسانے والو
کرۂ ارض پہ بجھتے چلے جاتے ہیں چراغ
ایسے بے درد ہوئے ہم بھی کہ اب گلشن پر
برق گرتی ہے تو زنداں میں جلاتے ہیں چراغ
ایسی تاریکیاں آنکھوں میں بسی ہیں کہ فرازؔ
رات تو رات ہے ہم دن کو جلاتے ہیں چراغ


tere hote hue mahfil meñ jalāte haiñ charāġh
log kyā saada haiñ sūraj ko dikhāte haiñ charāġh
apnī mahrūmī ke ehsās se sharminda haiñ
ḳhud nahīñ rakhte to auroñ ke bujhāte haiñ charāġh
bastiyāñ duur huī jaatī haiñ rafta rafta
dam-ba-dam āñkhoñ se chhupte chale jaate haiñ charāġh
kyā ḳhabar un ko ki dāman bhī bhaḌak uThte haiñ
jo zamāne kī havāoñ se bachāte haiñ charāġh
go siyah-baḳht haiñ ham log pe raushan hai zamīr
ḳhud añdhere meñ haiñ duniyā ko dikhāte haiñ charāġh
bastiyāñ chāñd sitāroñ kī basāne vaalo
kurra-e-arz pe bujhte chale jaate haiñ charāġh
aise bedard hue ham bhī ki ab gulshan par
barq girtī hai to zindāñ meñ jalāte haiñ charāġh
aisī tārīkiyāñ āñkhoñ meñ basī haiñ ki 'farāz'
raat to raat hai ham din ko jalāte haiñ charāġh


یہ شہر سحر زدہ ہے، صدا کسی کی نہیں،
یہاں خود اپنے لئے بھی دعا کسی کی نہیں۔۔

رنجش ہی سہی دل ہی دکھانے کے ليے آ
آ پھر سے مُجھے چھوڑ کے جانے کے ليے آ
پہلے سے مراسم نا سہی پھر بھی کبھی تو
رسمِ راہِ دنيا ہی نبھانے کے ليے آ
کس کس کو بتائيں گے جدائی کا سبب ہم
تُو مجھ سے خفا ہے تو زمانے کے ليے آ
کچھ تو ميرے پندارِ محبت کا بھرم رکھ
تُو بھی تو مجھ کو منانے کے ليے آ
ايک عمر سے ہوں لذتِ گِريہ سے بھی محروم
اے راحتِ جان مجھ کو رُلانے کے ليے آ
اب تک دلِ خوش فہم کو تجھ سے ہيں اميديں
يہ آخری شمعيں بھی بُجھانے کے ليے آ
Ranjish hi sahi, dil hi dukhaane ke liye aaa
Aaa phir se mujhe chorr ke jaane ke liye aaa
Kuch to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aaa
Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-raaah-e-duniyaaa hi nibhaane ke liye aaa
Kis kis ko batayen ge judayi ka sabbab hum
tu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aaa
Ik umar se hoon lazzat-e-girya se bhi mehroom
Ae rahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aaa
Ab tak dil-e-khush-fehm ko tujh se hain umeeden
Yeh aakhri shamen bhi bujhaane ke liye aaa

ہوا ہے تجھ سے بچھڑنے کے بعد یہ معلوم
کہ تو نہیں تھا ترے ساتھ ایک دنیا تھی

Rifaaqaton Main Pashemaaniyan To Hoti Hain,
Ke Doston Se Bhi Nadaaniyan To Hoti Hain..

Us Ne Sakoot e Shab Main Bhi Apna Payaam Rakh Diya,
Hijr Ki Raat Baam Par Maah e Tamaam Rakh Diya..


سب سنگی ساتھی بھید بھرے
کوئی ماسہ ہے کوئی تولہ ہے

Taana'zan Tha Her Koi Hum Par Dil e Nadaan Samet,
Hum Ne Chorra Shehr e Rusvaai Dar e Janaan Samet..

ہم سنائیں تو کہانی اور ہے
یار لوگوں کی زبانی اور ہے
احمد فراز

‏رنجش ہی سہی دل ہی دکھانے کے ليےآ
آپھر سے مُجھے چھوڑ کے جانے کے ليےآ
احمد فراز


زندگی سے یہی گلہ ہے مجھے
تو بہت دیر سے ملا ہے مجھے

احمد فراز
رنجش ہی سہی دل ہی دکھانے کے لیے آ
آ پھر سے مجھے چھوڑ کے جانے کے لیے آ
کچھ تو مرے پندار محبت کا بھرم رکھ
تو بھی تو کبھی مجھ کو منانے کے لیے آ


Suna Hai Din Ko Use Titliyaan Satati Hain.
Suna Hai Bole To Baton Se Phol Jharte Hain.
Suna Hai Log Usay Ankh Bhar Ke Dekhte Hain Lyrics.
Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Us Ke Shahar Mein Kuch Din Thehar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Rabt Hai Usko Kharaab Halon Sea
So Apne Aap Ko Barbaad Karke Dekhte Hain
Suna Hai Dard Ki Ga-Hak Hai Chashm-E-Naaz Uski
So Ham Bhi Uski Gali Se Guzar Kar Dekhte Hain
Suna Hai Usko Bhi Hai Sheir-O-Shaeri Se Shaghaf
So Ham Bhi Moajze Apne Hunar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Bole To Baton Se Phol Jharte Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Raat Use Chaand Taktaa Rehta Hai
Sitare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain
Suna Hai Din Ko Use Titliyaan Satati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehr Ke Dekhte Hain
Suna Hai Hashr Hain Uski Ghazal Si Aankhein
Suna Hai Usko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Uski Siyah Chashmagi Qayamat Hai
So Usko Surma Farosh Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Uske Labon Se Gulab Jalte Hain
So Ham Bahaarh Pe Ilzaam Dhar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Aaeinaa Tamasil Hai Jabin Uski
Jo Saadaa Dil Hai Use Ban-Sanwar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Uske Badan Ke Taraash Aise Hain
Ke Phol Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Uski Shabistaan Se Mut-Tasil Hai Bahisht
Makeen Udhar Ke Bhi Jalve Idhar Ke Dekhte Hain
Ruke Toh Gardishein Uska Tawaaf Karti Hain
Chale To Usko Zamaane Thehr Ke Dekhte Hain
Kahaniyan He Sahi Sab Mubalghe He Sahi
Agar Woh Khawab Hai Tou Taabir Kar Ke Dekhte Hain
Ab Usake Shehar Mein Thehrein Ke Koch Kar Jaein
"Faraz" Aao Sitare Safar Ke Dekhte Hain



Post a Comment

0 Comments