Bahadur Shah Zafar

Bahadur Shah Zafar 


Bahadur Shah Zafar
Bahadur Shah Zafar 



Tum Ne Kya Na Yaad Kabhi Bhool Kar Hamain

Ham Ne Tumhari Yaad Mein Sab Kuch Bhula Diya



Dil Ko Dil Se Rah Hai Tu, Jis Tarah Se Ham Tuje


Yaad Karte Hai Kare Yun Hi Hmain Bhi Yaad Tu



Haal e Dil Kyun Kar Krein Apna Bayan Achi Tarah

Ru Ba Ru Un Ke Nahi Chalti Zuban Achi Tarah


Ho Gaya Jis Din Se Apne Dil Par Us Ko Ikhtiyar


Ikhtyar Apna Gya Be-Ikhtyari Reh Gayi



Ham Apna Ishq Chamkyan Tum Apna Husn Chamkao


Ke Heran Dekh Kar Aalam Hmain Bhi Ho Tumhain Bhi Ho




Wo Be Hjab Jo Pe Ke Kal Shrab Aya

Agarcha Mast Tha Main, Par Muje Hijab Aya

Idhar Kyal Mere Dil Main Zulf Ka Guzra

Udhar Wo Khata Hoa Dil Mai Pecho Tab Aya

Khyal Kis Ka Smaya Hai Deeda-o Dil Main

Na Dil Ko Chain Muje Aur Na Shab Ku Khawab Aya



Bat karani mujhe mushkil kabhi aisi to na thi

jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi

le gaya cheen ke q aj tera sabr-o-qarar

beqarari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi

chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin

jaise ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi

un ke aankhon ne khuda jane kiya kya jadu

ke tabiyat meri mail kabhi aisi to na thi

aks-e-rukh-e-yar ne kis se hai tujhe chamakaya

tab tujh mein mah-e-kamil kabhi aisi to na thi

kya sabab tu jo bigadata hai “zafar” se har bar

khu teri hur-e-shamail kabhi aisi to na thi



Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujrey Dayar Mein

Kis Ki Bani Hai Aalam Napaidaar Mein

Keh Do In Hasarton Se Kahin Aur Ja Basen

Itni Jagah Kahan Hai Dil Daghdar Mein

Kaanton Ko Mat Nikaal Chaman Se O Baghban

Yeh Bhi Gulon Ke Sath Pallay Hain Bahhar Mein

Bulbul Ko Baghban Se Nah Sayyad Se Gilah

Qismat Mein Qaid Likhi Thi Fasal Bahhar Mein

Kitna Hai Bad Naseeb Zafar Dafan Ke Liye

Do Gaz Zameen Bhi Nah Mili Koye Yaar Mein



Hui Jis Sabab Hum Se Tum Se Judai,

Na Tum Humse Pucho Na Hum Tum Se Pochen

Bayan Ye To Kar De Gi Sari Khudai,

Na Tum Humse Pucho Na Hum Tum Se Pochen

Ye Mashor Hai Dil Se Hai Rah Dil Ko,

Kya Krta Hai Dil Hi Agah Dil Ko

Wo Dil Hi Se Pucho Jo Hai Dil Mein Ayi,

Na Tum Humse Pucho Na Hum Tum Se Pochen

Hamain Chaho Tum Aur Ham Tum Ko Chahen,

Idhar Tum Nibaho, Udhar Ham Nibhain

Usi Se Hai Ram Dra Aashnai,

Na Tum Humse Pucho Na Hum Tum Se Pochen

Pehli Si Ik Ramz Mehro Wafa Hai

Isay Pochta Hai Tu Dil Pochta Hai

Nahi Jati Munh Se Ye Hargaz Btai

Na Tum Humse Pucho Na Hum Tum Se Pochen

Bala Se Koi Ghar Bhla Ya Bura Ho,

Hmain Kya Gharz Aur Tumhai Kaam Kya Hai

Zafar Ab Kisi Ki Burai Bhlai,

Na Tum Humse Pucho Na Hum Tum Se Pochen



Utha De Parda Nahi Parda Main Utha Doon Ga


Taish Se Dil Ki Abi Arsh Tak Hila Doon Ga


Na Hota Ishq Ka Maikash Agar Khabar Hoti


Ke Aik Jaam Mein Dono Jahan Bhula Doon Ga


Jo Pocha Main Ne Lab Zakhm Tu Kahe Ga Kya


Kaha Ke Khanjar Qatal Ku Main Dua Doon Ga


Ye De Kay Dam Muje Laya Tha Khench Josh Zahoor


Ke Chal Jahan Ka Tamasha Tujhe Dikha Doon Ga


Na Pooch Mujhse Zafar Tu Meri Haqeqat Haal


Agar Kahon Ga Abi Tuj Ku Main Rula Doon Ga



Umar Taweel Mang Ke Laye The Chaar Din

Do Aarzoo Main Kat Gaye Do Intezaar Main

Kaho In Hasratoon Se Kahin Aur Ja Basin

Itni Jaga Nahi Dil-e Daagdar Main

Kitna Hai Badnaseeb Zafar Dafan Ke Liye

Do Gaz Zameen Bi Na Mili Koye Yaar Main

 

 

Bich mein parda dui ka tha jo hayal uth gaya

aisa kuch dekha ke duniya se mera dil uth gaya

shama ne ro ro ke kati raat suli par tamam

shab ko jo mahafil se teri ae zeb-e-mehfil uth gaya

meri aankhon mein samaya us ka aisa nur-e-haq

shauq-e-nazzara ae badr- e-kamil uth gaya

ae zafar kya puchta hai begunah-o-bar-gunah

uth gaya ab jidhar ko vaste qatil uth gaya




Dil ke meri beqarari mujh se kuch pucho nahi


shab ke meri aah-o-zari mujh se kuch pucho nahi


bar-e-gam se mujh pe roz-e-hijr mein ik ik ghadi


kya kahun hai kaisi bhari mujh se kuch pucho nahi


meri surat hi se bas malum kar lo ham-damo


tum haqiqat meri sari mujh se kuch pucho nahi


sham se ta-subah jo bistar pe tum bin raat ko


main ne ke akhtar-shumari mujh se kuch pucho nahi


ae “zafar” jo haal hai mera karunga gar bayan


hogi un ke sharm-sari mujh se kuch pucho nahi




Na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qarar hoon


Jo kisi ke kam na aa sake main wo ek musht-e-gubaar hoon


Na to main kisi ka habib hoon na to main kisi ka raqib hoon


Jo bigad gaya wo naseeb hoon jo ujad gaya wo dayar hoon


Mera rang-roop bigad gaya mera yaar mujh se bichad gaya


Jo chaman fizaa mein ujad gaya main usi ka fasl-e- bahar hoon


Paye fateha koi aaye kyo koi char phool chadaye kyo


Koi aake shamma jalaye kyo main wo bekasi ka mazar hoon


Main nahi hoon nagma-e- jan fishan mujhe sun ke koi karega kya


Main bade barog ke hoon sada main bade dukh ke pukar hoon


Post a Comment

0 Comments